Tajdar-e-Haram , ae shahenshah-e-deen
Tum pe har dam Karodon darood-o-salam
Ho nigahen karam ham pe sultan-e-deen
Tum pe har dam Karodon darood-o-salam
Door rah kar na dam toot jaye kahin
Kaash taiba me ae mere mah-e-mobin ,
Dafn hone ko mil jaaye do gaz zameen
Tum pe har dam Karodon darood-o-salam
Koi husn-e-amal paas mere nahin
Phans na jaaun qayamat me maula kahin
Ae shafi-e-umam laaj rakhna tumhi
Tum pe har dam Karodon darood-o-salam
Teri yadon se mamoor seena rahe
Lab pe har dam madeena madeena rahe
Bas main deewana ban jaaun sultan-e-deen
Tum pe har dam Karodon darood-o-salam
Maut ke waqt kar do nigahen karam
Kaash is shaan se ye nikal jaaye dam
Sang-e-dar pe tumhare ho meri jabin,
Ab madeene me sabko bula lijiye
Aur seena madeena bana dijiye
Meher-e-gousul bara, ae imam-e-mubeen
Tum pe har dam Karodon darood-o-salam
Phir bulalo madine me attar ko
Ye tadapta hai taiba ke deedar do
Koi iske siwa koi aarzu hi nahi
Tum pe har dam Karodon darood-o-salam
Fiqr ummat mera to karate rahen
aasiyon ke gunaahon ko dhote rahen
Tum pe qurban ae mere mahe-e-mubin
Tum pe har dam Karodon darood-o-salam
0 Comments