Madine ke Aaqa Salamun Alayk
Do Aalam ke Shaha Salamun Alayk
Hai dil mein tamanna Madine ko aaun
Tumhari gulami mein umar guzarun
Bula lijiyega Salamun Alayk
Do Aalam ke Shaha Salamun Alayk
Musibat-zadon ki mushkil tala do
Nawason ke sadqe mein bigdi bana do
Har ek dil pukara Salamun Alayk
Do Aalam ke Shaha Salamun Alayk
Gunahon ne gera Khataon ne gera
Musibat ne gera Balaon ne gera
Bacha lijiyega Bacha lijiyega
Salamun Alayk Salamun Alayk
Mujhe Sabz Gumbad nazar aa raha hai
Mera sar adab se jhuka jaa raha hai
Jhuka arshe a'ala Salamun Alayk
Do Aalam ke Shaha Salamun Alayk
Hun Mohtaj Mein Aapki Ek Nazar ka
Fida Aap par Mere Maa Baap Aaqa
Ke Ham Sab pe Nazre Karam kijiyega
Ke Arshad pe Nazre Karam kijiyega
Salamun Alayk Salamun Alayk
Muhammad Muhammad mein kehta rahunga
Meri jaan qurban mein unpar karunga
Sabhi unke shayda Salamun Alayk
Do Aalam ke Shaha Salamun Alayk
Labon pe Muhammad Dilon mein Muhammad
Jigar mein Muhammad Zaban par Muhammad
Yahan bhi Muhammad wahan bhi Muhammad
Khuda ki qasam Rabb bhi tum par fida hai
Mera Rabb na ek pal bhi tumse jhuda hai
Khuda khuda pukara Salamun Alayk
Do Aalam ke Shaha Salamun Alayk
Zameen mein Muhammad Zaman mein Muhammad
Makin mein Muhammad Makan mein Muhammad
Har Ek Shey mein Jalwa Rasoole Khuda ka
Salamun Alayk Salamun Alayk
Hamari bhi Kismat banado Nabiji
Nasiban bhi soya Jagado Nabiji
Hamein Apna Roza dikhadijiyega
Hamein fir Madina bula lijiyega
Salamun Alayk Salamun Alayk
Na Daulat talab hai Na Shohrat talab hai
Hukumat talab hai Na Izzat talab hai
Hamein dijiye Kali Kamli ka saya
Salamun Alayk Salamun Alayk
0 Comments